Hafeez Jaunpuri

hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi

Hafeez Jaunpuri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1865-1918
hasīnoñ se faqat sāhib-salāmat duur kī achchhī
na un kī dostī achchhī na un kī dushmanī achchhī
zamāna fasl-e-gul kā aur āġhāz-e-shabāb apnā
abhī se tū ne tauba kī bhī ai zāhid kahī achchhī
jafā-dost us ko kahtā hai koī koī vafā-dushman
hamāre saath to us ne nibāhī dostī achchhī
tirī ḳhātir se zāhid ham ne tauba aaj kī varna
ghaḌī bhar ġham ġhalat karne ko bas vo chiiz thī achchhī
ziyāda ai falak de rañj-o-rāhat ham ko jo kuchh de
na do din kā ye ġham achchhā na do din kī ḳhushī achchhī
kabhī jab haath mal kar un se kahtā huuñ ki be-bas huuñ
to vo hañs kar ye kahte haiñ tumhārī bebasī achchhī
jo sach pūchho hasīnoñ kā hayā ne rakh liyā parda
nikal chalte gharoñ se ye to hotī dil-lagī achchhī
ham aa.eñ aap meñ yā-rab vo jis dam aa.eñ bālīñ par
hujūm-e-rañj-e-tanhā.ī se hai ye be-ḳhudī achchhī
mohabbat ke maze se dil nahīñ hai āshnā jis kā
na us kī zindagī achchhī na us kī maut hī achchhī
vo mai-kash huuñ ki de kar duunī qīmat sab kī sab le lī
kisī se jab sunā maiñ ne ki bhaTTī meñ khiñchī achchhī
use duniyā kī sau fikreñ hameñ ik rañg-e-nādārī
kahīñ mun.im kī daulat se hamārī muflisī achchhī
ḳhushī ke ba.ad ġham kā sāmnā honā qayāmat hai
jo ġham ke ba.ad hāsil ho vo albatta ḳhushī achchhī
na chūTegī mohabbat ġhair kī ham se na chūTegī
ajī ye baat tum ne aaj to khul kar kahī achchhī
hamāre dīda-o-dil meñ hazāroñ aib nikleñge
tumhārā aa.inā achchhā tumhārī ārasī achchhī
tire is jubba-o-dastār se rindoñ ko kyā matlab
jise jo vaz.a ho marġhūb ai zāhid vahī achchhī
kahe sau sher tum ne sust to hāsil 'hafīz' is kā
ġhazal ho chust chhoTī sī to baitoñ kī kamī achchhī
Top Urdushayar.com