jo zamāne kā ham-zabāñ na rahā
vo kahīñ bhī to kāmrāñ na rahā
is tarah kuchh badal ga.ī hai zamīñ
ham ko ab ḳhauf-e-āsmāñ na rahā
jaane kin mushkiloñ se jiite haiñ
kyā kareñ koī mehrbāñ na rahā
aisī begānagī nahīñ dekhī
ab kisī kā koī yahāñ na rahā
har jagah bijliyoñ kī yūrish hai
kyā kahīñ apnā āshiyāñ na rahā
muflisī kyā gila kareñ tujh se
saath terā kahāñ kahāñ na rahā
hasrateñ baḌh ke chūmtī haiñ qadam
manziloñ kā koī nishāñ na rahā
ḳhūn-e-dil apnā jal rahā hai magar
sham.a ke sar pe vo dhuāñ na rahā
ġham nahīñ ham tabāh ho ke rahe
hādsa bhī to nā-gahāñ na rahā
qāfile ḳhud sambhal sambhal ke baḌhe
jab koī mīr-e-kārvāñ na rahā