ujālā chhin rahā hai raushnī taqsīm hotī hai
tirī āvāz hai yā zindagī taqsīm hotī hai
kabhī reg-e-ravāñ se pyaas bujh jaatī hai rahrav kī
kabhī dariyā ke hāthoñ tishnagī taqsīm hotī hai
yahī vo moḌ hai apne parā.e chhūT jaate haiñ
qarīb-e-kū-e-jānāñ gumrahī taqsīm hotī hai
ḳhushī ke naam par āñkhoñ meñ aañsū aa hī jaate haiñ
ba-qadr-e-ġham mohabbat meñ ḳhushī taqsīm hotī hai
yaqīñ aayā tire shādāb paikar kī khanak sun kar
badan ke zāviyoñ meñ yuuñ hañsī taqsīm hotī hai
qayāmat hai diloñ ke darmiyāñ dīvār uThāte ho
diloñ ke dard kī hamsā.egī taqsīm hotī hai
vahīñ kal vaqt ne khaa.ī thī Thokar yaad hai ab tak
vo pech-o-ḳham jahāñ terī galī taqsīm hotī hai
sar-e-pahnā-e-naġhma 'shāz' kuchh sho.ala sā uThtā hai
sunā hai daulat-e-paiġhambarī taqsīm hotī hai