Shaz Tamkanat

mera zamir bahut hai mujhe saza ke liye

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
mirā zamīr bahut hai mujhe sazā ke liye
tū dost hai to nasīhat na kar ḳhudā ke liye
vo kashtiyāñ mirī patvār jin ke TuuT ga.e
vo bādbāñ jo taraste rahe havā ke liye
bas ek huuk sī dil se uThe ghaTā kī tarah
ki harf o saut zarūrī nahīñ duā ke liye
jahāñ meñ rah ke jahāñ se barābarī kī ye choT
ik imtihān-e-musalsal mirī anā ke liye
namīda-ḳhū hai ye miTTī har ek mausam meñ
zamīn-e-dil hai tarastī nahīñ ghaTā ke liye
maiñ terā dost huuñ tū mujh se is tarah to na mil
barat ye rasm kisī sūrat-āshnā ke liye
milūñgā ḳhaak meñ ik roz biij ke mānind
fanā pukār rahī hai mujhe baqā ke liye
mah o sitāra o ḳhurshīd o charḳh haf-iqlīm
ye ehtimām mire dast-e-nā-rasā ke liye
jafā jafā hī agar hai to rañj kyā ho 'shāz'
vafā kī pusht-panāhī bhī ho jafā ke liye
Top Urdushayar.com