qissa-e-shauq ke unvān dil-ārām ka.ī
maiñ ne kis pyaar se rakkhe haiñ tire naam ka.ī
TukTukī bāñdh ke bas duur se takte rahnā
vasl meñ milte haiñ ab hijr ke ālām ka.ī
uqda-e-jāñ ko hai ab tak tire nāḳhun se umiid
kis ko ma.alūm adhūre haiñ mire kaam ka.ī
dil-e-zinda se hai ye garmī-e-bāzār-e-hayāt
sar-e-saudā-zada qaa.em hai to ilzām ka.ī
vādī-e-sañg se anjān guzarne vaale
nā-tarāshīda rahe jaate haiñ asnām ka.ī
kuchh na kuchh kahtī thī vo aañkh dam-e-ruḳhsat-e-shauq
le ke uTThā huuñ kisī bazm se auhām ka.ī
jaise har ek darīche meñ tirā chehra ho
yuuñ mire haal pe hañste haiñ dar-o-bām ka.ī
'shāz' ab us kī ḳhamoshī ko duā denā hai
jis ne bheje the mujhe nāma-o-paiġhām ka.ī