junūn-e-ishq kī ye fitna-sāmānī nahīñ jaatī
nahīñ jaatī hamārī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
musībat yuuñ kabhī duniyā meñ pahchānī nahīñ jaatī
nahīñ aatī balā jo sar pe vo maanī nahīñ jaatī
gumān-e-bad na kar ai mohtasib rindoñ kī hālat par
ki ho kar chāk-dāman pāk-dāmānī nahīñ jaatī
nahīñ martā kabhī go bul-havas har ik pe martā hai
nahīñ jaatī subuk-sar kī girāñ-jānī nahīñ jaatī
zyāda duur sāhil to nahīñ kuchh bahr-e-hastī kā
magar kashtī kidhar jaa.e ki tuġhyānī nahīñ jaatī
hamāre ghar kī vīrānī se hai dil bastagī us ko
tum aa kar jab chale jaate ho vīrānī nahīñ jaatī
tamāshā dekhne vaale to lākhoñ aate jaate haiñ
vahī jalve haiñ jalvoñ kī farāvānī nahīñ jaatī
tirī tasvīr ā.īna hai merī chashm-e-hairat kā
nahīñ jaatī in ā.īnoñ kī hairānī nahīñ jaatī
abhī nazroñ meñ phirtā hai vo bazm-e-nāz kā manzar
mire dil se tire jalvoñ kī arzānī nahīñ jaatī
hijābāt-e-jahāñ se har adā chhan chhan kī aatī hai
ġharaz parde se un kī jalva-sāmānī nahīñ jaatī
mujhe samjhā rahe haiñ aap kyā ai nāseh-e-mushfiq
mohabbat meñ kisī kī baat hī maanī nahīñ jaatī
rahegā shā.irī kā naam 'ḳhushtar' rahtī duniyā tak
suḳhan-jūī suḳhan-goī suḳhan-dānī nahīñ jaatī