kisī kī yaad ko apnā shi.ār kar leñge
fazā-e-dahr ko ham sāzgār kar leñge
ham apne ġham ko ḳhushī meñ shumār kar leñge
ḳhizāñ ke daur meñ jashn-e-bahār kar leñge
rasā.ī hogī jo is bazm meñ kabhī apnī
nasīb vāloñ meñ apnā shumār kar leñge
kabhī milegā jo izn-e-ubūdiyat ham ko
to ek saañs meñ sajde hazār kar leñge
rahā karam jo tumhārā to bahr-e-hastī se
ham apnī kashtī-e-ummīd paar kar leñge
tirī talāsh meñ ā.eñge kaam dāġh-e-jigar
ham un se raushnī-e-rah-guzar kar leñge
ḳhushī se milne lage haiñ vo aaj kal ham se
ham apnī ziist ko ab ḳhush-gavār kar leñge
nazar hai dar pe hamārī ki dam hai āñkhoñ meñ
abhī kuchh aur tirā intizār kar leñge
ham apne ḳhalq kī duniyā sañvār kar 'ḳhushtar'
husūl-e-rahmat-e-parvardigār kar leñge