masarrat kā hamesha ek hī aalam nahīñ hotā
karam hotā to hai un kā magar paiham nahīñ hotā
ḳhushī kā ġham jinheñ hotā hai samjho ġham-nasīb un ko
jinheñ ġham kī ḳhushī hotī hai un ko ġham nahīñ hotā
na le jaatā jo majnūñ ālam-e-dīvāngī ham se
to us kā zikr-e-ḳhair afsāna-e-ālam nahīñ hotā
kahāñ hai tū burā.ī se burā.ī miT nahīñ saktī
are ġhāfil añdhere se añdherā kam nahīñ hotā
yahī vo vaqt hai jab aadmī ko hosh aatā hai
ḳhudā kī yaad se ġhāfil Dil-e-pur-ġham nahīñ hotā
burā jab vaqt aatā hai to is duniyā-e-ulfat meñ
koī monis nahīñ hotā koī hamdam nahīñ hotā
tasallī se kabhī taskīn-e-ḳhātir ho nahīñ saktī
junūn-e-shauq baḌh jaatā hai is se kam nahīñ hotā
fazā-e-bāġh-e-hastī meñ ḳhizāñ bhī hai bahāreñ bhī
kahāñ ḳhushiyāñ nahīñ hotīñ kahāñ mātam nahīñ hotā
nibāh āsāñ nahīñ duniyā kī rasm-e-dost-dārī kā
koī dam-sāz hotā hai to ham meñ dam nahīñ hotā
fanā ke ba.ad miltā hai sukūn-e-rāhat-e-manzil
jahāñ shīrāza-e-hastī kabhī barham nahīñ hotā
koī miltā hai jab rāh-e-talab meñ rahbar-e-kāmil
to ham ko dūrī-e-manzil kā bhī kuchh ġham nahīñ hotā
hamāre ek dam par ek dam jo kuchh guzartī hai
mohabbat meñ kabhī aisā to ai hamdam nahīñ hotā
tumhīñ imdād ko 'ḳhushtar' kī aa jaate ho mushkil meñ
sahārā jab koī ai sarvar-e-ālam nahīñ hotā