bazm-e-nashāt-o-aish kā sāmāñ liye hue
aa.ī sabā bahār-e-gulistāñ liye hue
uḌtā phirā junūn ye sāmāñ liye hue
ya.anī hamāre jeb-o-garebāñ liye hue
kab tak jiyegā dār-e-fanā meñ batā to de
sar meñ ġhurūr-e-ālam-e-imkāñ liye hue
mere junūn-e-ishq kī vus.at na pūchhiye
hai zarra zarra zor-e-bayābāñ liye hue
jis ko uThā sake na pahāḌ aur na āsmāñ
vo bār-e-ġham haiñ hazrat-e-insāñ liye hue
mere liye to bahr-e-alam kā ye haal hai
jo mauj uThī vo aa.ī hai tūfāñ liye hue
ik majma-e-bahār-o-ḳhizāñ hai mirā vajūd
phirtā huuñ saath gardish-e-daurāñ liye hue
āsāñ ho kyuuñ na ahl-e-tajassus ko rāh-e-shauq
haiñ apne saath zauq-e-farāvāñ liye hue
pherī lagā rahā huuñ ḳharīdār kī hai fikr
phirtā huuñ sar pe maiñ ġham-e-daurāñ liye hue
bahar-e-niyāz-e-nāz ham aa.e haiñ le ke dil
dil meñ hujūm-e-hasrat-o-armāñ liye hue
'ḳhushtar' mujhe hai naaz ki allāh ke huzūr
jā.ūñgā dil meñ daulat-e-īmāñ liye hue