Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

duniya wahi hai aur wahi saman-e-zindagi

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1910
duniyā vahī hai aur vahī sāmān-e-zindagī
lekin badalte rahte haiñ unvān-e-zindagī
kyā kaam kar rahā hai ye mehmān-e-zindagī
bhartā hai kyuuñ gunāh se dāmān-zindagī
vahshat-nasīb hai sar-o-sāmān-zindagī
ulfat meñ taar taar hai dāmān-zindagī
hai dekhne kī chiiz bhī kuchh dekhtā hai kyā
sair-e-jahāñ hai ḳhvāb-e-pareshān-e-zindagī
kaafī hai apne vāste ārā.ish-e-vajūd
ārā.ishoñ se paak hai dāmān-zindagī
maujoñ se kheltā huā bāhar nikal na jā
āḳhir ye kis liye ġham-e-tūfān-e-zindagī
ik din hayāt-o-maut kī is khīñch-tān meñ
hāthoñ se chhūT jā.egā dāmān-e-zindagī
marnā hī jab jahāñ meñ hai jiine kā mā-hasal
nāhaq uThā.eñ kis liye ehsān-e-zindagī
samjhe hue the ham jise aish-o-tarab kā ghar
zindān-e-ġham banā hai vo aivān-e-zindagī
piirī chalegī kyā mirī piirī ke daur meñ
aa.e kahāñ se pahlī sī ab shān-e-zindagī
hai fasl-e-gul kā zor bahāroñ pe hai shabāb
kyā pur-fazā hai aaj gulistān-e-zindagī
kis se vafā kī dahr meñ 'ḳhushtar' umiid hai
ahd-e-vafā se duur hai paimān-e-zindagī
Top Urdushayar.com