nazr-e-tauba ham kareñge mai-parastī ek din
DhūñDhtī rah jā.egī ye bazm-e-mastī ek din
ġham na kar ḳhushiyāñ na ā.eñgī to ġham aa jā.eñge
bas hī jā.egī kisī se dil kī bastī ek din
yuuñ guzārī ham ne to apnī do-roza zindagī
mai-parastī ek din kī fāqa-mastī ek din
husn kī ye garm-bāzārī rahegī tā-ba-kai
dekhnā ho jā.eñgī ye jins sastī ek din
apnī nādānī ye nāzāñ haiñ bahut ahl-e-ḳhirad
un ko le Dūbegī un kī ḳhud-parastī ek din
hai jabhī se be-ḳhudī badmast huuñ sarshār huuñ
un ke hāthoñ se piyā thā jām-e-mastī ek din
Thokareñ khātā rahegā toḌ kar baiThegā paañv
ḳhatm ho jā.egī terī sair-e-hastī ek din
bach ke jā.eñgī kahāñ hastī shikast-o-reḳht se
sar-bulandī ke muqaddar meñ hai pastī ek din
dekh zālim kī huā kartī nahīñ rassī darāz
āsmāñ rah jā.egī ye chīra-dastī ek din
miTte miTte saaf miT jā.eñge ye naqsh-o-nigār
ḳhud ayaañ ho kar rahegā rāz-e-hastī ek din
TūTne vaalā hai naata us se TūTegā zarūr
chhūTne vaalī hai 'ḳhushtar' bazm-e-hastī ek din