Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

na wo masarrat gunah mein hai na wo kashish ab sawab mein hai

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

Khandwa, Madhya Pradesh, India

1910
nā vo masarrat gunāh meñ hai na vo kashish ab savāb meñ hai
ḳharāb-e-sāmān-e-zindagī sab jahāñ kī bazm-e-ḳharāb meñ hai
hasīn be-shak hai bazm-e-anjum qamar bhī haañ kuchh hisāb meñ hai
magar yahāñ tū hī tū hai yaktā savāl tere javāb meñ hai
yahāñ hai bekār us kī hasrat yahāñ kī vo chiiz hī nahīñ hai
kare vo rāhat kī justujū kyuuñ jo is jahān-e-ḳharāb meñ hai
paḌī hai bebāk jis pe us ko pilā diyā ek jām-e-mastī
balā kī mastī bharī huī us nigāh-e-mast-e-shabāb meñ hai
badal ga.ī hai nigāh-e-sāqī to rañg-e-mahfil badal gayā hai
na ab vo pahlī sī mai-kashī hai na vo mazā ab sharāb meñ hai
sunā thā ham ne ki hashr meñ vo dikhāne vaale haiñ apnā jalva
magar jo dekhā to aaj bhī vo jamāl-e-rañgīñ naqāb meñ hai
dikhā rahā hai uchhal uchhal kar ye sab ko josh-e-numūd-e-ġhāfil
ki goyā dariyā-e-be-karāñ ik nihāñ jahān-e-habāb meñ hai
kahāñ vo naġhmoñ meñ soz-e-mutrib kahāñ vo aish-o-tarab kī duniyā
kahāñ vo pahlā sā kaif baaqī sadā-e-chang-o-rabāb meñ hai
hazāroñ rañgīniyāñ bhī dekhīñ hazār jalve bhī ham ne dekhe
magar jo phir ġhaur kar ke dekhā to husn-e-mutlaq hijāb meñ hai
jahāñ ke sab ranj-o-ġham miTā de mire muqaddar ko phir jagā de
ilāhī 'ḳhushtar' kī iltijā ye mudām terī janāb meñ hai
Top Urdushayar.com