jo merī hālat pe hans rahe haiñ mujhe kuchh un se gilā nahīñ hai
vo nā-samajh haiñ samajh rahe haiñ ki jaise merā ḳhudā nahīñ hai
ḳhulūs idhar bhī ho aur udhar bhī to dil se phir dil judā nahīñ hai
maiñ un ko chāhūñ vo mujh se rūTheñ kabhī to aisā huā nahīñ hai
jhukā.iye dil ko sar se pahle ki lutf hāsil ho zindagī kā
na ho agar ijz bandagī meñ to bandagī kā mazā nahīñ hai
burā.iyāñ hī burā.iyāñ haiñ burā.iyoñ kā jahāñ hai saarā
buroñ se dāman bachā.eñ kyuuñ kar buroñ ke dāman meñ kyā nahīñ hai
ye maiñ ne maanā ki zindagī meñ havādisāt-e-jahāñ bhī kuchh haiñ
magar hai mujh par karam bhī un kā nasīb merā burā nahīñ hai
nizām-e-duniyā badal hī degī use samajhnā nidā-e-ġhaibī
sadā-e-takbīr jo hamārī hai ye hamārī sadā nahīñ hai
gul-o-shajar par hai murdanī sī fazā pe chhāyā huā hai mātam
ye tujh ko kyā ho gayā hai bulbul jo aaj naġhma-sarā nahīñ hai
pata hī miltā nahīñ kuchh us kā hameñ to bāzār-e-zindagī meñ
to kyā jahān-e-ḳharāb meñ ab kahīñ bhī jins-e-vafā nahīñ hai
jahāñ se hai rābta jahāñ tak jahāñ hamārā jahāñ ke dam haiñ
ye kaise kah deñ ki zindagī meñ kisī se kuchh vāsta nahīñ hai
hujūm-e-isyāñ se kuchh nahīñ Dar samajh chukā huuñ ba-roz-e-mahshar
hai us kī rahmat kā saaya sar par to kyuuñ kahūñ aasrā nahīñ hai
jo aa hī baiThā hai aaj 'ḳhushtar' to ho ke jā.egā ḳhush se ḳhush-tar
tumhāre dar se uThe ye kyūñkar abhī to dāman bharā nahīñ hai