parchhā.iyoñ ke shahr zamīñ par basā diye
badlī haTā ke chāñd ne jañgal sajā diye
kitne hī dā.eroñ meñ baTā markaz-e-ḳhayāl
ik but ke ham ne saikaḌoñ paikar banā diye
TuuTe kisī tarah to fazāoñ kā ye jumūd
āñdhī rukī to ham ne nasheman jalā diye
ab rāstoñ kī gard se aTte nahīñ badan
naqsh-e-qadam asīr-e-gul-e-tar banā diye
ik chāñd kī talāsh meñ ghūme nagar nagar
lauTe to āsmāñ ne sitāre bujhā diye
baazī to ham ne aaj bhī haarī nahīñ huzūr
nazreñ bachā ke aap ne mohre uThā diye
Thahrī huī havā meñ bhaḌakte nahīñ charāġh
jhoñkoñ ne lau baḌhā.ī diye jagmagā diye
'anjum' laboñ meñ jazb huiiñ talḳhiyāñ tamām
murjhā ga.ī bahār jo ham muskurā diye