anjāne ḳhvāb kī ḳhātir kyuuñ chain gañvāyā
kab vaqt kā panchhī Therā kab saaya haath meñ aayā
ik nuur kī chādar simTī be-jān fazā dhundlā.ī
ghar aa.e ghanere bādal yā chāñd gahan meñ aayā
āñkhoñ se nashīlī shab kī dhotī rahī shabnam kājal
har samt syāhī phailī har samt añdherā chhāyā
jo baat laboñ par aa.ī vo baat banī afsāna
ik giit ko is duniyā ne kitnī hī dhunoñ meñ gaayā
dil dard se bhar bhar aayā palkoñ pe na chamke aañsū
āñkhoñ ne samundar bhar ke qatre ke liye tarsāyā
aise bhī zamāne guzre din soyā rāteñ jāgīñ
ehsās kā rañgīñ āñchal sannāToñ meñ lahrāyā
ḳhushiyoñ ko to chhoḌā ham ne ik khel samajh kar 'anjum'
jis ġham ko rag-e-jāñ samjhā us ġham ne hameñ Thukrāyā