banā.e sab ne isī ḳhaak se diye apne
falak se TuuT ke shams-o-qamar nahīñ aa.e
galī galī ho jahāñ jannatoñ kā gahvāra
hamārī raah meñ aise nagar nahīñ aa.e
har ek moḌ se pūchhā hai manziloñ kā pata
safar tamām huā rahbar nahīñ aa.e
ġhamoñ ke bojh se TuuTī hai zindagī kī kamar
badan pe zaḳhm kaheñ chāra-gar nahīñ aa.e
guloñ kī aañch ne jhulsā diyā bahāroñ ko
chaman ko lūTne barq-o-sharar nahīñ aa.e
hue haiñ sīna-e-shab meñ jo dafn afsāne
lab-e-sahar pe kabhī bhuul kar nahīñ aa.e
chamak uThe haiñ thapeḌoñ kī choT se qatre
sadaf kī god meñ 'anjum' guhar nahīñ aa.e