socho to kuchh na samjho samjho to kuchh na bolo
phir chup kā husn dekho bekār lab na kholo
nauha-kunāñ havāo shola-ba-jāñ fazāo
dekho vo jā rahā hai jī bhar ke us ko ro lo
Daale raheñ basere ḳhvāboñ bhare añdhere
mahloñ kī aas rakkho kuTiyā ke paT na kholo
kauñde lapak rahe haiñ jazbe chamak rahe haiñ
sadiyāñ bilak rahī haiñ lamhoñ ko yuuñ na rolo
har fāsla baḌā hai har marhala kaḌā hai
sūraj agar hai pīchhe saa.e ke saath ho lo
gul huuñ bikhar na jā.ūñ pal huuñ guzar na jā.ūñ
takmīl kar lo apnī āġhosh meñ samo lo
duniyā faqat gumāñ hai sab kuchh darūn-e-jāñ hai
jaago zarūr 'ḳhālid' āñkheñ magar na kholo