rag rag ek tasavvur ek umañg bhare
ik ḳhushbū phūloñ meñ kyā kyā rañg bhare
fan kī apnī mauj dukhoñ kī apnī rau
ik tarkash meñ koī kitne ḳhadañg bhare
kaun lakīroñ ko tasvīroñ meñ Dhāle
kis kā lahū ye ḳhāke ye nairañg bhare
rañg-e-libās ko rañg-e-badan se aab mile
guñg hurūf meñ naġhmoñ kā āhañg bhare
kis kī āñkheñ tohmat-e-lams uThāeñgī
bijlī ke tan meñ haiñ kis ke rañg bhare
pole pole paañv dhare purvā.ī bhī
ḳhaak meñ uḌte rañg ye kis ke sañg bhare
kāhish kā dariyā bhī ḳhvāhish kā ghar thā
paanī bharne aa.e aur nahañg bhare