Khalid Ahmad

Dar ye hai bazuon mein mom ki surat na pighal jae kahin

Khalid Ahmad

Lucknow, Uttar pradesh, India

1944-2013
Dar ye hai bāzuoñ meñ mom kī sūrat na pighal jaa.e kahīñ
tū mire saath mire jism ke dozaḳh meñ na jal jaa.e kahīñ
ghar se gaatā huā niklā to huuñ maiñ naġhma-e-ehsās magar
shahr ke shor meñ dab jaa.eñ na sar lai na badal jaa.e kahīñ
faqat is ḳhauf se jaatā nahīñ maiñ sub.h-e-tarab kī jānib
ufuq-e-dil se tire dard kā mahtāb na Dhal jaa.e kahīñ
ye tirā kaam nahīñ dekh na duniyā kī taraf gaa.e jā
maddham ik aah meñ ik chīḳh meñ pancham na badal jaa.e kahīñ
sub.h nazdīk hai karvaT bhī badal soch samajh kar 'ḳhālid'
zehn par āḳhir-e-shab niind kī talvār na chal jaa.e kahīñ
Top Urdushayar.com