Shaz Tamkanat

bana husn-e-takallum husn-e-zan aahista aahista

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
banā husn-e-takallum husn-e-zan āhista āhista
bahar-sūrat khulā ik kam-suḳhan āhista āhista
musāfir raah meñ hai shaam gahrī hotī jaatī hai
sulagtā hai tirī yādoñ kā ban āhista āhista
dhuāñ dil se uThe chehre tak aa.e nuur ho jaa.e
baḌī mushkil se aatā hai ye fan āhista āhista
abhī to sañg-e-tiflāñ kā hadaf banñā hai kūchoñ meñ
ki raas aatā hai ye dīvāna-pan āhista āhista
abhī to imtihān-e-ābla-pā hai bayābāñ meñ
baneñge kunj-e-gul dasht-o-daman āhista āhista
abhī kyūñkar kahūñ zer-e-naqāb-e-surmagīñ kyā hai
badaltā hai zamāne kā chalan āhista āhista
meñ ahl-e-anjuman kī ḳhalvat-e-dil kā muġhannī huuñ
mujhe pahchān legī anjuman āhista āhista
dil-e-har-sañg goyā sham-e-mehrāb-e-tamannā hai
asar kartī hai zarb-e-kohkan āhista āhista
kisī kāfir kī shoḳhī ne kahlavā.ī ġhazal mujh se
khulegā 'shāz' ab rañg-e-suḳhan āhista āhista
Top Urdushayar.com