Khalid Ahmad

khula mujh par dar-e-imkan rakhna

Khalid Ahmad

Lucknow, Uttar pradesh, India

1944-2013
khulā mujh par dar-e-imkān rakhnā
mire maulā mujhe hairān rakhnā
yahī ik marhala manzil na Thahre
yahī ik marhala āsān rakhnā
mire dil kā varaq nikle na saada
koī ḳhvāhish koī armān rakhnā
ye dil tāq-e-charāġh-e-zar na Thahre
mire mālik mujhe nādān rakhnā
mire hālāt mujh ko chhū na paa.eñ
mujhe har haal meñ insān rakhnā
bharī rakhnā mire maulā ye āñhkeñ
dukhoñ kī bārishoñ kā maan rakhnā
mire sāthī bhī mujh se be-navā haiñ
bisāteñ dekh kar tāvān rakhnā
ye din kyūñkar chaḌhā vo shab Dhalī kyuuñ
mujhe aayā na itnā dhyān rakhnā
mujhe bhī aam yā gumnām kar de
ki ik āzār hai pahchān rakhnā
asīr-e-umr ko aayā na ab tak
kitāb-e-hijr kā unvān rakhnā
havā kī tarah sahrā se guzar jā
safar meñ kyā sar-o-sāmān rakhnā
Top Urdushayar.com