ik gaam sar-e-rāh-e-sipāh aa.ī na duniyā
daryūza-e-uqbā thā so raas aa.ī na duniyā
mahrūm rahī sohbat-e-mardān-e-razā se
kis husn kī dahshat thī ki paas aa.ī na duniyā
nāchī hai barahna sar-e-bāzār hamesha
ik baar tah-e-tār-e-libās aa.ī na duniyā
ai rāñda-e-duniyā tujhe kyā ġham ki mujh aise
parvarda-e-duniyā ko bhī raas aa.ī na duniyā
'ḳhālid' ufuq-e-ḳhāk rahā rañg meñ ġhaltāñ
mujh tak kabhī le kar tirī baas aa.ī na duniyā