nuur nuur zehnoñ meñ ḳhauf ke añdhere haiñ
raushnī ke peḌoñ par raat ke basere haiñ
shahr shahr sannāTe yuuñ sadā ko ghere haiñ
jis tarah jazīroñ ke pāniyoñ meñ Dere haiñ
niiñd kab mayassar hai jāgnā muqaddar hai
zulf zulf añdhiyāre ḳham-ba-ḳham savere haiñ
dil agar kalīsā hai ġham shabīh-e-īsā hai
phuul rāhiba ban kar ruuh ne bikhere haiñ
ishq kyā vafā kyā hai vaqt kyā ḳhudā kyā hai
in latīf ḳhemoñ ke saa.e kyuuñ ghanere haiñ
zauq-e-āgahī bhī dekh tauq-e-be-kasī bhī dekh
paañv meñ haiñ zanjīreñ haath meñ pharere haiñ
hū-ba-hū vahī āvāz hū-ba-hū vahī andāz
tujh ko maiñ chhupā.ūñ kyā mujh meñ rañg tere haiñ
toḌ kar had-e-imkāñ jā.egā kahāñ irfāñ
raah meñ sitāroñ ne jaal kyuuñ bikhere haiñ
fahm laakh suljhā.e vahm laakh uljhā.e
husn hai haqā.eq kā kyā ḳhayāl mere haiñ
ham to Thahre dīvāne bastiyoñ meñ vīrāne
ahl-e-aql kyuuñ 'ḳhālid' pāgaloñ ko ghere haiñ