dam saadh ke dekhūñ tujhe jhapkūñ na palak bhī
āñkhoñ meñ samo luuñ tire lahje kī damak bhī
ai ishq agar mujh ko tirā izn ho mumkin
āġhosh meñ le luuñ tire paikar kī mahak bhī
ai zikr mire fikr kī taqdīr badal de
ai nuur mire nutq ke kaase meñ jhalak bhī
ai qatra-e-ḳhūñ mus.haf-e-ruḳhsār pe til bin
ai satr-e-tapāñ kāġhaz-e-sāda pe dahak bhī
dil arz-e-hunar hai to badan arz-e-hunar hai
ai mere dil-e-sāda mire tan meñ dhaḌak bhī
ye rañg mire nuur meñ rakkhe haiñ usī ne
guñdhvā.ī thī jis ne mirī miTTī kī mahak bhī
us shahr kī jānib mire paañv nahīñ uThte
is dil se vahī duur karegā ye jhijak bhī
kyā maiñ ne kiyā hai ki sazā-vār-e-ridāñ huuñ
mujh ko to bahut hai tirī kamlī kī jhalak bhī