ġham farāham haiñ magar un kī farāvānī nahīñ
ai girāñ-jānī yahāñ koī bhī āsānī nahīñ
chār-sū ik barf-basta ahd-e-nam kā raaj hai
dhuup meñ hiddat nahīñ dariyāoñ meñ paanī nahīñ
yaad hai kyā kaam hai is shahr kā kyā naam hai
sab kuchh us jaisā hai lekin āsmāñ dhānī nahīñ
zindagī ke dukh azal se zindagī ke saath haiñ
log faanī haiñ magar logoñ ke dukh faanī nahīñ
zindagī bhar sirf use puujā magar ghar baiTh kar
pāsdārān-e-vafā kā kaam darbānī nahīñ
ik shajar ke koī do patte bhī ik jaise na the
merī duniyā meñ kisī shai kā koī saanī nahīñ