is tarah phuuT ke royā koī
be-kasoñ kā nahīñ goyā koī
shor se gūñjte sannāToñ ke
vā kare kyā lab-e-goyā koī
sañg-dil jab bhī koī yaad aayā
lag ke dīvār se royā koī
luuT kar bhī koī bechain rahā
luT ke bhī chain se soyā koī
hashr-sāmāñ huiiñ vīrāñ āñkheñ
phir kasī ḳhvāb meñ khoyā koī
ziist kā dasht saman-zār huā
biij kyā dard ne boyā koī