Shaz Tamkanat

wo niyaz-o-naz ke marhale nigah-o-suKHan se chale gae

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
vo niyāz-o-nāz ke marhale nigah-o-suḳhan se chale ga.e
tire rañg-o-bū ke vo qāfile tire pairahan se chale ga.e
koī aas hai na hirās hai shab-e-māh kitnī udaas hai
vo jo rañg rañg ke aks the vo kiran kiran se chale ga.e
koī un kī āñkheñ sarāhtā koī vahshatoñ se nibāhtā
ki vo āhuvān-e-ramīda-ḳhū ye sunā ḳhutan se chale ga.e
ka.ī mehr-o-mah utar aa.e the vo yahīñ the mere ghar aa.e the
vo kalī kalī se dar aa.e the vo chaman chaman se chale ga.e
mire dil kī āb-o-havā lagī ki vafā bhī un ko ḳhatā lagī
vahī sādgī se jo aa.e the vahī bāñkpan se chale ga.e
na to kufr ke na ḳhudā ke ham na davā ke ham na duā ke ham
ki butān-e-ka.aba-e-ārzū dil-e-barhaman se chale ga.e
ye mirā fareb-e-nazar nahīñ mire ham-qadam the yahīñ kahīñ
mujhe āhaTeñ bhī na mil sakīñ vo baḌe jatan se chale ga.e
ye bajā ki tohfa-e-jāñ liye tire paas aa.e the be piye
vo gadāgarān-e-tahī-subū tire husn-e-zan se chale ga.e
yahī tujh se apnā thā vāsta yahī thī hayāt-e-muāshqa
tirī ḳhalvatoñ ke sharīk the tirī anjuman se chale ga.e
pas-e-umr bāzū-e-shauq par sar-e-nāz thā to huī ḳhabar
ka.ī rat-jage tire gesuoñ kī shikan shikan se chale ga.e
vo bujhe bujhe vo luTe luTe sar-e-rāh 'shāz' mile to the
unheñ ab vatan meñ na DhūñDiye ki vo ab vatan se chale ga.e
Top Urdushayar.com