Khalid Ahmad

rabt kis se tha kise kis ka shanasa kaun tha

Khalid Ahmad

Lucknow, Uttar pradesh, India

1944-2013
rabt kis se thā kise kis kā shanāsā kaun thā
shahr bhar tanhā thā lekin mujh sā tanhā kaun thā
maiñ samundar thā magar vīrāñ thā sahrā kī tarah
mere ghar tak chal ke aatā itnā pyāsā kaun thā
reza-e-sañg-e-anā thā raah kā koh-e-girāñ
baḌh ke lag jaatā mire siine se aisā kaun thā
sat.h par ḳhāmoshiyoñ kī guuñj hai nauha-kunāñ
apnī gahrā.ī ke dariyā meñ jo Duubā kaun thā
zaat āḳhir zaat thī shahkār phir shahkār thī
kis ke fan ke vāste se kis ko samjhā kaun thā
paañv dhartī par the lekin zehn the ākāsh par
sab ke sab merī tarah bikhre the yakjā kaun thā
kuchh bure the kuchh bhale the ḳhaar kuchh gulzār kuchh
har koī insān thā āḳhir farishta kaun thā
vo bhaḌak uTThā to 'ḳhālid' sochtā hī rah gayā
ḳhūb-rū paikar ke andar tund-ḳhū sā kaun thā
Top Urdushayar.com