ḳhauf-zada the kaun se log in sher-dileroñ se
koī to itnā pūchhe in miTTī ke Dheroñ se
din ke des se uḌ aate haiñ merī āñkhoñ meñ
saath nibhānā bhuul ga.e the rañg añdheroñ se
tiir chalāne vaale ghar kyā lauT bhī pā.eñge?
kyā ye panchhī dam de deñge duur baseroñ se
shaam kā tārā, sub.h kā pahlā taarā Thahregā
hajla-e-vasl meñ raat rahegī, baat saveroñ se
koī apne ghar kā rasta bhuul sakā hai kabhī?
kyā jaane kyuuñ uḌ uḌ jaa.eñ kaag muñDeroñ se
ḳhaak uḌe to mere hāthoñ merī ḳhaak uḌe
mujh ko Dar lagtā hai, sāñpoñ aur saperoñ se
mujh ko jānñe vaale 'ḳhālid' jaan na pā.eñge
is chakkar meñ niklā huuñ maiñ, kitne pheroñ se