rañg kahte haiñ kahānī merī
kis kī ḳhushbū thī javānī merī
koī paa.e to mujhe kyā paa.e
kho.e rahnā hai nishānī merī
koh se dasht meñ le aa.ī hai
dushman-e-jāñ hai ravānī merī
khil rahī hai pas-e-dīvār zamāñ
ḳhvāhish-e-naql-e-makānī merī
sar-e-marqad haiñ sabhī sāya-kushā
koī hasrat nahīñ faanī merī
tapish-e-rañg jhulas Dālegī
kyā kare soḳhta-jānī merī
naqsh thā maiñ bhī galī taḳhtī kā
uḌ ga.ī ḳhāk-e-ma.ānī merī
kyā suḳhan-fahm nazar thī jis ne
baat koī bhī na maanī merī
nāqidoñ ne mujhe parkhā 'ḳhālid'
ḳhaak sahrāoñ ne chhānī merī