patthar se kyā shakl nikāle ye ham kyā jāneñ
aazar kis paikar meñ Dhāle ye ham kyā jāneñ
kaun havā kā haath baḌhā.e naav ulaT jaa.e
dariyā kuude kaun uchhāle ye ham kyā jāneñ
niiñd bhare halkore leñ rāteñ kis ke hāthoñ
kaun charāġh-e-sub.h ujāle ye ham kyā jāneñ
kyā kahiye kis zahr kī kaaT ragoñ meñ phirtī hai
kis ne bujhā.e zahr meñ bhāle ye ham kyā jāneñ
ik paanī kī oT meñ saarī duniyā bastī hai
kis ne bhare ā.ankhoñ ke pyāle ye ham kyā jāneñ
khoī huī bheḌeñ haiñ ham jaane kis galle kī
kis din aa jaa.eñ rakhvāle ye ham kyā jāneñ
har din us kā har shab us kī har mausam us kā
kis ne tane ā.ankhoñ par jaale ye ham kyā jāneñ
in hāthoñ kī chhāñv mayassar aa.egī kab tak
kis din peḌ ye chhāñv uThā le ye ham kyā jāneñ
saat sitāre añg tumhāre palak palak taare
kis ne jagā.e ye ujiyāle ye ham kyā jāneñ
maut kī niiñd sulā de 'ḳhālid' kin hāthoñ kī thapak
nezoñ par sar kaun uchhāle ye ham kyā jāneñ