zindagī meñ kisī ruḳh kā kisī dukh kā honā
achchhā hotā hai safar meñ koī apnā honā
dard bhī mauj ke mānind safar karte haiñ
achchhā rahtā hai palak par koī taarā honā
Thokareñ mārne lagtā hai lahū nas nas meñ
kitnā dushvār hai terā mirā apnā honā
ek ham haiñ ki tire ho ke bhī āvāra haiñ
apnī taqdīr hai āvāza-e-sahrā honā
kārgar kaun rahā kār-e-vafā meñ 'ḳhālid'
kis kī qismat meñ hai farhād kā tesha honā