bevafā huuñ na vafādār huuñ maiñ
sach to ye hai ki adākār huuñ maiñ
sī diye us ne mire hoñT to kyā
ab mujassam lab-e-iz.hār huuñ maiñ
mere hāthoñ meñ gaḌe haiñ kāñTe
phuul huuñ aur sar-e-dār huuñ maiñ
har kiran Duub chalī sūrat-e-nabz
kin añdheroñ meñ ziyā-bār huuñ maiñ
zehn hai sar pe laTaktī talvār
kin aqā.ed meñ giraftār huuñ maiñ
is liye mujh se ḳhafā hai koī
us kā hote hue ḳhuddār huuñ maiñ