Khalid Ahmad

ubhri na koi shakl na paikar nazar aaya

Khalid Ahmad

Lucknow, Uttar pradesh, India

1944-2013
ubhrī na koī shakl na paikar nazar aayā
tasvīr meñ rañgoñ kā samundar nazar aayā
ai dost tirā shahr bhī hai shahr-e-tilismāt
chhūkar jise dekhā vahī patthar nazar aayā
har shaḳhs haqā.eq kī kaḌī dhuup ke Dar se
taane hue auhām kī chādar nazar aayā
har shaḳhs nayā shaḳhs thā jab ġhaur se dekhā
insān ik insān ke andar nazar aayā
maiñ ḳhvāb meñ kal raat jise chuum rahā thā
jaagā to usī haath meñ patthar nazar aayā
jab bone lagā biij ḳhayālāt ke 'ḳhālid'
har lafz kā dāman mujhe banjar nazar aayā
Top Urdushayar.com