zamīn ko phuul fazā ko ghaTā.eñ detā hai
mujhe falak se vo ab tak sadā.eñ detā hai
vahī navā-gar-e-ālam ḳhudā-e-saut-o-sadā
vahī havā ko faqat saa.eñ saa.eñ detā hai
vahī kahīñ gul-e-naġhma kahīñ gul-e-nauha
vahī ġhamoñ ko saroñ kī qabā.eñ detā hai
vo koh-sār-e-tahayyur vo āb-shār-e-nidā
ḳhamoshiyoñ ko bhī kyā kyā nidā.eñ detā hai
koī to ro.e lipaT kar javān lāshoñ se
isī liye to vo beToñ ko maa.eñ detā hai