kisī kā koī Thikāna hai koī Thor bhī hai
ye zindagī hai kahīñ is kā or-chhor bhī hai
jhulā rahā hai ye gahvāra kaun sadiyoñ se
are kisī ne ye dekhā ki koī Dor bhī hai
har aadmī hai yahāñ jabr-o-iḳhtiyār ke saath
magar ye dekh kisī kā kisī pe zor bhī hai
sunegā koī to phir kuchh use sunā.ī na de
ki har sukūt ke parde meñ ek shor bhī hai
vo husn ishq-sifat hai vo ishq husn-numā
vo merā chāñd bhī hai vo mirā chakor bhī hai
shikār kar ki diloñ ki sunahre jañgal meñ
zarūr raqs meñ badmast koī mor bhī hai
hazār jaan se ham ek haiñ ye sach hai 'shāz'
rivāj-o-rasm kā lekin diloñ meñ chor bhī hai