dil bhar aa.e to samundar nahīñ dekhe jaate
aks paanī meñ utar kar nahīñ dekhe jaate
dekh ai sust-ravī ham se kinārā kar le
har qadam raah ke patthar nahīñ dekhe jaate
vo chahak ho ki mahak ek hī ruḳh uḌtī hai
bar-sar-e-dosh-e-havā par nahīñ dekhe jaate
dekh ai sāda-dil o sāda-ruḳh o sāda-jamāl
har jagah ye zar-o-zevar nahīñ dekhe jaate
apne hāthoñ meñ lakīroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ
dard-mandoñ ke muqaddar nahīñ dekhe jaate
sar-giraftoñ ke liye ghar bhī qafas haiñ 'ḳhālid'
himmat ai ḳhīra-saro sar nahīñ dekhe jaate