rañg sā phirtā hai zer-e-āsmāñ dekhā huā
rū-ba-rū ik aks hai jaane kahāñ dekhā huā
kis ke hone kī ḳhabar dete haiñ ye dīvār-o-dar
jaane kyuuñ lagtā hai mujh ko ye makāñ dekhā huā
ik gharauñdā haule haule ghul rahā hai aaj bhī
ek manzar hai tah-e-āb-e-ravāñ dekhā huā
maiñ to pahlī baar aayā thā tumhāre shahr meñ
nā-gahāñ mujh ko lagā shahr-e-gumāñ dekhā huā
ik mahak ban kar nazar uThtī hai merī chār-sū
maiñ to pahroñ dekhtā huuñ ye jahāñ dekhā huā
har ghaḌī paayā nayā dhaḌkā purāne rañg kā
aag an-dekhī lagī uTThā dhuāñ dekhā huā
din nikalte hī gharoñ se chal paḌe tesha-ba-kaf
sūraj ubhrā hai ki ik koh-e-girāñ dekhā huā
maañd rah jā.egī is shab āñ.suoñ kī aab bhī
chāñd phir niklā pas-e-dīvār-e-jāñ dekhā huā
āsmāñ thā yā shikasta chhat añdherī qabr kī
raat bhar dekhā kiyā maiñ āsmāñ dekhā huā
saath chaltā hai kināre par kināroñ kī tarah
kyā kahūñ 'ḳhālid' ki hai ye mehrbāñ dekhā huā