ḳhaak par ḳhaak kī Dheriyāñ rah ga.iiñ
aadmī uTh ga.e nekiyāñ rah ga.iiñ
kis kī ta.alīm kā āḳhirī saal thā
chūḌiyāñ bik ga.iiñ bāliyāñ rah ga.iiñ
ishq ik ruup thā husn kī dhuup kā
yaad kyuuñ dhuup kī saḳhtiyāñ rah ga.iiñ
ḳhuun meñ ghul ga.iiñ sāñvlī qurbateñ
tan meñ taptī huī haDDiyāñ rah ga.iiñ
dard añgūr kī bel the phal ga.e
ġham-kashoñ ke liye talḳhiyāñ rah ga.iiñ
arsa-e-fisq meñ qismat-e-ishq meñ
hikmat-āmez paspā.iyāñ rah ga.iiñ
qumqumoñ kī tarah qahqahe jal bujhe
mez par chaa.e kī pyāliyāñ rah ga.iiñ
us bulandī pe ham ne paḌāv kiyā
jis ke aage faqat pastiyāñ rah ga.iiñ
husn ke haath se ā.īna gir paḌā
farsh-e-pindār par kirchiyāñ rah ga.iiñ
ham ne kāġhaz ko bhī aa.ina kar diyā
lekin apnī siyah-baḳhtiyāñ rah ga.iiñ