haal havā jab pūchhne aa.ī ham majbūroñ se
koī baat kahāñ ban paa.ī ham majbūroñ se
aaj sabhī dukh aañsū ban kar aañkh meñ tair ga.e
khel rahī thī khel ḳhudā.ī ham majbūroñ se
vo be-parda vo be-parvā vo yak-sur yak-tāl
baat kare yā vo harjā.ī ham majbūroñ se
paañv toḌ ke baiTh rahe haiñ raah ke patthar bhī
chaah rahe the rahh-numā.ī ham majbūroñ se
kis aahaT kī bahār se pag pag dhuul ke phuul khile
kis mausam ne Thokar khaa.ī ham majbūroñ se
kis ke lams ke aks-numā haiñ ḳhushbū ke jhoñke
pūchh na baiThe gul-e-sahrā.ī ham majbūroñ se
baal nichoḌ ke jhaTke kis ne dukh ke dal-bādal
pūchh rahī hai ye purvā.ī ham majbūroñ se
dard ke ruḳh darvāze rakheñ chāñd ke ruḳh khiḌkī
kaash kirā.e vo chunvā.ī ham majbūroñ se
kār-e-numū āġhāz rahegā gor ho yā gulshan
rut ne sīkhī gul-ārā.ī ham majbūroñ se
āñkheñ hoñToñ ke taale bhī khulte dekheñgī
duniyā chhīn to le goyā.ī ham majbūroñ se
raah dikhāne vaale kis din kis pal aa pahuñcheñ
kab chhin jaa.e ye bīnā.ī ham majbūroñ se
nūr-e-charāġh tāq-e-taġhāful dil tārīk na kar
bol kuchh ai māh-e-yaktā.ī ham majbūroñ se
zahr-piyāla pī lo 'ḳhālid' sulag uTho 'ḳhālid'
kyā kyā kahtī thī shahnā.ī ham majbūroñ se