pyaas lagnā thī lagī sarshār honā thā hue
ham ko ġharqāb-e-sarāb-e-dār honā thā hue
ham tirī aahaT pe saḌkoñ par nikal aa.e to kyā
ham ko rusvā bar-sar-e-bāzār honā thā hue
tere kāñdhoñ ke liye sar de ke āḳhir kyā gayā
ham ko yuuñ bhī be-sar-o-dastār honā thā hue
tū kahe to apne hāthoñ apnī shah-e-rag kaaT leñ
ham ko tere haath kī talvār honā thā hue
ḳhvāb ke aalam meñ chalne kā maraz kab jā sakā
ḳhvāb hī meñ niiñd se bedār honā thā hue
in saroñ kī aur in mahloñ kī qismat ek thī
sañg chalnā the chale mismār honā thā hue
ek din 'ḳhālid' hameñ ye svāñg bharnā thā bharā
jhuuT gaḌhnā the ghaḌe fankār honā thā hue