Shaz Tamkanat

mana ki mere zarf se baDh kar mujhe na do

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
maanā ki mere zarf se baḌh kar mujhe na do
shabnam hī māñgtā huuñ samundar mujhe na do
jis ko havā ke ruḳh pe na kholā gayā kabhī
ik aise bādbāñ kā muqaddar mujhe na do
dīvār jis kī sarhad sahrā se jā mile
aisī sazā-e-ḳhāna-e-be-dar mujhe na do
lau de rahī hai soch ke vaqfa kī ḳhāmushī
har baat kā javāb sambhal kar mujhe na do
kuchh de sako agar to koī ḳhvāb sauñp do
saaya talāsh kartā huuñ paikar mujhe na do
maiñ aap apne jurm-o-sazā kā harīf huuñ
ilzām-e-shauq sab ke barābar mujhe na do
gar sun sako to 'shāz' kī ḳhāmoshiyāñ suno
taklīf-e-arz-e-hāl mukarrar mujhe na do
Top Urdushayar.com