Shaz Tamkanat

kya karun ranj gawara na KHushi ras mujhe

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
kyā karūñ rañj gavārā na ḳhushī raas mujhe
jiine degī na mirī shiddat-e-ehsās mujhe
is tarah bhī tirī duurī meñ kaTe haiñ kuchh din
hañs paḌā huuñ to huā jurm kā ehsās mujhe
ham ne ik dūsre ko pursa-e-furqat na diyā
merī ḳhātir thī tujhe aur tirā paas mujhe
ek Thahrā huā dariyā hai mirī āñkhoñ meñ
kin sarāboñ meñ Dubotī hai tirī pyaas mujhe
jaise pahlū-e-tarab meñ koī nashtar rakh de
aaj tak yaad hai terī nigah-e-yās mujhe
reza reza huā jaatā hai mirā sañg-e-vajūd
yuuñ sadā de na pas-e-parda-e-anfās mujhe
shāḳh se barg-e-chakīda kā taqāzā jaise
kuchh is tarah abhī tak hai tirī aas mujhe
ruuh ke dasht meñ ik ho kā samāñ hai ai 'shāz'
de gayā kaun bhare shahr meñ ban-bās mujhe
Top Urdushayar.com