fareb-e-rāh-e-mohabbat kā aasrā bhī nahīñ
maiñ jā rahā huuñ magar koī rāstā bhī nahīñ
har ek kahtā hai rāh-e-vafā hai nā-hamvār
magar ḳhulūs se ik aadmī chalā bhī nahīñ
kisī ke ek ishāre pe do-jahāñ raqsāñ
mire liye mirī zanjīr kī sadā bhī nahīñ
ajiib turfagī-e-shauq hai ki sū-e-adam
ga.ī hai ḳhalq magar koī naqsh-e-pā bhī nahīñ
ye Thiik hai ki vafā se nahīñ lagāv use
magar sitam to yahī hai ki bevafā bhī nahīñ
koī maqām ho ik aasrā to hotā hai
vo yuuñ badal ga.e jaise mirā ḳhudā bhī nahīñ