jītne mārka-e-dil vo lagātār gayā
jis ghaḌī fat.h kā ailān huā haar gayā
thak ke lauT aa.e alam-dār-e-masāvāt āḳhir
duur tak silsila-e-andak-o-bisyār gayā
jis ko sab sahal-talab jaan ke karte the gurez
ik vahī shaḳhs sū-e-manzil-e-dushvār gayā
in dinoñ zehn kī duniyā meñ hai masrūf bashar
dil kī tahzīb ga.ī dard kā bevhār gayā
ham gunahgāroñ se bā-ma.anī rahā hashr kā din
varna ye saarā hī mansūba thā bekār gayā
'sāz' hai dil-zada ab bhī tire sheroñ ke tufail
ham to samjhe the ki ai miir ye āzār gayā