Abdul Ahad Saaz

khile hain phul ki surat tere visal ke din

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
khile haiñ phuul kī sūrat tire visāl ke din
tire jamāl kī rāteñ tire ḳhayāl ke din
nafas nafas na.ī tahdāriyoñ meñ zaat kī khoj
ajab haiñ tere badan tere ḳhadd-o-ḳhāl ke din
ba-zauq-e-sher ba-jabr-e-ma.āsh yakjā haiñ
mire uruuj kī rāteñ mire zavāl ke din
ḳharīd baiThe haiñ dhoke meñ jins-e-umr-e-darāz
hameñ dikhā.e the maktab ne kuchh misāl ke din
na hādse na tasalsul na rabt-e-umr kahīñ
bikhar ke rah ga.e lamhoñ meñ māh-o-sāl ke din
maiñ baḌhte baḌhte kisī roz tujh ko chhū letā
ki gin ke rakh diye tū ne mirī majāl ke din
ye tajrabāt kī vus.at ye qaid-e-saut-o-sadā
na pūchh kaise kaḌe haiñ ye arz-e-hāl ke din
Top Urdushayar.com