simaT simaT sī ga.ī thī zamīñ kidhar jaatā
maiñ us ko bhūltā jaatā huuñ varna mar jaatā
maiñ apnī raakh kuredūñ to terī yaad aa.e
na aa.ī terī sadā varna maiñ bikhar jaatā
tirī ḳhushī ne mirā hausla nahīñ dekhā
are maiñ apnī mohabbat se bhī mukar jaatā
kal us ke saath hī sab rāste ravāna hue
maiñ aaj ghar se nikaltā to kis ke ghar jaatā
maiñ kab se haath meñ kaasa liye khaḌā huuñ 'shāz'
agar ye zaḳhm hī hotā to kab kā bhar jaatā