mizāj-e-sahal-talab apnā ruḳhsateñ māñge
sabāt-e-fan magar ai dil azīmateñ māñge
ufuq pe husn-e-adā ke tulū-e-mehr-e-ḳhayāl
fazā-e-sher sahar kī latāfateñ māñge
musir hai aql ki mantiq meñ aa.e uqda-e-jāñ
qadam qadam pe magar dil bashārateñ māñge
na.ī uḌaan ko kam haiñ ye zauq ke shahpar
na.ī havāoñ kā har ḳham zihānateñ māñge
shu.ūr ke qad-o-qāmat pe hai nazar kis kī
ye farba-chashm zamāna jasāmateñ māñge
nafīs o sahl nahīñ vaz-e-sher kī tadrīj
har ek soch digar-gūñ sī hālateñ māñge
sukūn-e-tūl-e-vafā hai talab kī kotāhī
ki lams-e-yād dhaḌaktī jasārateñ māñge
shuā-e-mehr se dhul jaa.eñ jaise maah o najm
tirā ḳhayāl anokhī tahārateñ māñge
na pūchh 'sāz' ko vo to sarāb vāloñ se
phire hai kāsa-e-dil meñ haqīqateñ māñge