Abdul Ahad Saaz

aaj phir shab ka hawala teri jaanib Thahre

Abdul Ahad Saaz

Mumbai, Maharashtra, India

1950
aaj phir shab kā havāla tirī jānib Thahre
chāñd mazmūn bane sharh-e-kavākib Thahre
dād-o-tahsīn kī bolī nahīñ tafhīm kā naqd
shart kuchh to mire bikne kī munāsib Thahre
nek guzre mirī shab sidq-e-badan se tere
ġham nahīñ rābta-e-sub.h jo kāzib Thahre
muḳhlisī bā.is-e-taz.hīk zehānat dushman
ye mahāsin to mire haq meñ ma.ā.ib Thahre
maiñ huuñ ḳhud se mutaqābil mutabādil mutazād
ruuh Thahre mirā unvāñ kabhī qālib Thahre
baaT hī dil ke judā hoñ to bhalā kaun āḳhir
kis kā ham-vazn ba-mīzān-e-matālib Thahre
Top Urdushayar.com