jaane qalam kī aañkh meñ kis kā zuhūr thā
kal raat mere giit ke mukhḌe pe nuur thā
naġhma sā chheḌtī thiiñ tajallī kī uñgliyāñ
tauret kā nuzūl ba-lahn-e-zabūr thā
vo saath saath aur pahuñchnā thā us talak
har aan ek marhala nazdīk o duur thā
haibat ke baam par thī bulāve kī raushnī
thī vasvasoñ kī shaam pa jaanā zarūr thā
har pech koī vāqi.a har moḌ koī yaad
us ke badan ke saath mirā lā-shu.ūr thā
ik bhiiḌ mujh se muntazir-e-inkishāf thī
maiñ thā murāqabe meñ magar be-huzūr thā